* Huzoor Ghaus-e-Pak k mukhtasar Halaat *

* Huzoor Ghaus-e-Pak k mukhtasar Halaat *

Sarkar-e-Baghdad Huzoor-e-Ghaus Pak ka Ism Mubarak "Abdul Qadir" Aap ki Kunniyat "Abu Muhammad" aur Alqabat "Mohiuddin, Mehboob-e-Subhani, Ghaus-ul-Saqlain, Ghaus-ul-Azam" waghera hain. Aap 470 Hijri main Baghdad Sharif k qareeb Qasba-e-Jilan main paida huwe aur Aap ne 11 Rabi-ul-Aakhir 561 Hijri main 91 saal ki umer main Baghdad Sharif main inteqal farmaya. Namaz-e-Janaza Hazrat Syed Saifuddin Abdul Wahab ne parhae aur la tadad Logon ne Janaza main shirkat ki. Mazar Mubarak Baghdad Sharif main hai jahan Din Raat Zahireen ka Hujoom rehta hai. (Behjat-tul-Asrar, Page 171)