Madani Qafila

Ta’aruf
الحمدللہ عزوجل Tableegh-e-Quran-o-Sunnat ki ‘aalamgeer gheyr siyasi tehreek Dawat-e-Islami, jis ki bunyad aaj say taqreeban 34 saal qabl Zul-Qa’da-tul-Haraam 1401 Hijri ba-mutabiq September 1981 mein Bab-ul-Madina Karachi mein Sheikh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat Hazrat ‘Allama Maulana Abu Bilal Muhammad Ilyas ‘Attar Qadiri Razavi دامت برکاتھم العالیہ rakhi, meethay meethay Mustafa صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم ki ‘inayaton, Sahaba kiram رضوان اللہ تعالٰی علیھم اجمعن ki barakaton, Auliya ‘Uzzaam رحمة الله تعالٰی علیھم ki nisbaton, ‘Ulama-o-Mashaaikh-e-Ahl-e-Sunnat دامت برکاتھم العالیہ ki shafqaton aur Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دامت برکاتھم العالیہ ki shab-o-roz koshishon kay nateejay mein aaj “Dawat-e-Islami” ka Madani pegham ta dam-e-tahreer dunya kay kam-o-besh 180 say zaaid mumalik mein pohonch chuka hay aur kamyabi ka safar abhi jaari hay.
Ameer-e-Ahl-e-Sunnatدامت برکاتھم العالیہ nay Musalmanon ki islah kay liye shab-o-roz koshish ki aur in ki koshishon ka nateeja aaj “Dawat-e-Islami” aik ‘aalamgeer gheyr siyasi tehreek ki soorat mein hamaray samnay hay. Baani-ye-Dawat-e-Islami nay Madani Mahol say wabasta her Islami bhai kay zimmay 2 kaam ‘atta farmaey hain, jin kay tehet saari dunya kay logon ki islah ki koshishen ki ja sakti hain.
(1) Madani In’amaat     (2) Madani Qafila
Ameer-e-Ahl-e-Sunnat دامت برکاتھم العالیہ ki shab-o-roz tarbiyyat say tayyar honay walay Muballigheen-e-Dawat-e-Islami nay dunya kay mukhtalif mumalik mein “Madani Qafilon” ki dhoom macha di hay, ‘Aashiqan-e-Rasool kay sunnaton ki tarbiyyat kay be-shumar Madani Qafilay 3 din, 12 din, 30 din, aur 12 mah kay liye mulk-ba-mulk, shaher-ba-shaher aur qarya-ba-qarya safar ker kay ‘ilm-e-deen aur sunnaton ki baharen lutta rahay aur neki ki da’wat ki dhoomen macha rahay hain. Muta’did muqamat per Madani Tarbiyat Gaahen qaaim hain jin mein dur-o-nazdeek say aanay walay Islami bhai qiyam kartay hain aur ‘Aashiqan-e-Rasool ki sohbat mein sunnaton ki tarbiyyat patay aur phir qurb-o-jawar mein ja ker “neki ki da’wat” kay Madani Phool mehkatay hain. Nae Muballigheen ki tarbiyyat kay liye mukhtalif courses ka aehtimam kiya gaya hay masalan 41 din ka Madani In’amaat-o-Madani Qafila course, 63 din ka Madani tarbiyati course aur imamat course wagherah.
Piyare Islami bhaiyo! Yaqeenan Rah-e-Khuda mein safar karnay walay ‘Aashiqan-e-Rasool kay hamrah Dawat-e-Islami kay Madani Qafilon mein safar karna bohot barri sa’adat hay. In Madani Qafilon ki barakat say panjwaqta namaz-o-nawafil ki pabandi kay sath sath piyare Aaqa صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم ki sunnaten bhi seekhnay ko milti hain aur ‘ilm-e-deen kay liye safar ka sawab alag say haasil hota hay.
Piyare Islami bhaiyo! ‘Aashiqan-e-Rasool kay Madani Qafilon mein safar kay mukammal fawaaid usi soorat mein haasil ho saktay hain jab ham rawangi say wapis lotnay tak tarbiyyat kay tamam Madani Phoolon say aagah hon. In Madani Phoolon ki ma’lumat kay liye Dawat-e-Islami kay isha’ati idaray Maktaba-tul-Madina ki matbu’a 696 safhat per mushtamil kitab “neyk bannay aur bananay kay tareeqay” hamaray sath ho. Takay Madani Qafilon mein safar karnay walay ‘Aashiqan-e-Rasool ko aasani ho aur woh ziyadah say ziyadah Islami masaail-o-‘uloom haasil ker saken neez ye kitab mukammal jadwal, bayanat, du’aon, sunnaton aur aadaab ki jamey’ hay takay doran-e-safar Faizan-e-Sunnat aur Namaz kay Aehkam kay ‘ilawah kisi aur kitab ki zarurat na rahay.
Is kay sath sath in Madani Qafilon mein safar ki barakat say انشاءاللہ عزوجل apnay sabiqa tarz-e-zindagi per ghour-o-fikr ka moqa’ milay ga aur dil husn-e-‘aaqibat kay liye be-chain ho jae ga jis kay nateejay mein irtiqab-e-gunah ki kasrat per nadamat mahsoos hogi aur touba ki tofeeq milay gi. انشاءاللہ عزوجل ‘Aashiqan-e-Rasool kay Madani Qafilon mein musalsal safar karnay kay nateejay mein zaban per fuhush kalami aur fuzool goi ki jaga Durood-e-Pak jaari ho jae ga, Tilawat-e-Quran, Hamd-e-Ilahi … aur Na’at-e-Rasool صلی اللہ تعالٰی علیہ وسلم ki ‘aadi ban jae gi, gussay ki ‘aadat rukhsat ho jae gi aur is ki jaga narmi lay legi, be-sabri ki ‘aadat tark ker kay sabir-o-shakir rehna naseeb hoga, takabbur say jan chhout jae gi aur Ihtiram-e-Muslim ka jazba milay ga, dunyavi maal-o-dolat ki la-lach say peecha chhoutay ga aur nekion ka harees ban jae ga. Rah-e-Khuda mein musalsal safar karnay walay ki zindagi mein Madani inqilab barpa ho jae ga. انشاءاللہ عزوجل
Yad rakhiye aaj logon ki nigahen Dawat-e-Islami kay Madani Qafilon ki muntazir hain her Masjid, her gaun, her division aur her kabeena say ye sada sunayi day rahi hay, “Madani Qafilon ki ashad zarurat hay” kiun kay Musalmanon ki islah, Masjidon ki aabaad kaari, sari dunya mein sunnaton ki dhoom machanay, neki ki da’wat ‘aam kernay aur her Islami bhai ki tarbiyyat ka behtireen zari’a Madani Qafilay hain. Sheikh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat, Hazrat ‘Allama Maulana Abu Bilal Muhammad Ilyas ‘Attar Qadiri Razavi دامت برکاتھم العالیہ farmatay hain kay “Dawat-e-Islami ki baqqa Madani Qafilon mein hay”
Lehaza hamen na sirf khud Madani Qafilon mein safar karnay hay balkay apnay gher, Masjid, mahallay, office, school, college, factory, dukaan, market, bazaar aur her maqam per Islami bhaiyo ko infiradi koshish kay zari’e Madani Qafilon mein safar ki targheeb bhi dilani hay. Tou niyyat ker li-jiye kay ayandah انشاءاللہ عزوجل ham Madani Qafilon ki barkaton say mustafeez honay kay liye pabandi kay sath na sirf khud Madani Qafilon mein safar karen gey balkay dusron ko bhi targheeb dilaen gey. انشاءاللہ عزوجل
صلوا علي الحبيب ! صلي الله تعالی علي محمد